Sunday, 8 January 2012

Aankh sey behta hua khamosh pani aur dukh








Roshni ki dhaar per rakhi kahani aur dukh
Aankh sey behta hua khamosh pani aur dukh

Merey kamray mein ussi tarteeb sey rakhey huye
Phool, khat, waaday, dilasay, ik jawani aur dukh

Eik doojay sey bicher ker umr bhar rotay rahay
Raat, sehra, khushk pattay, eik raani aur dukh

Ab merey lafzoN mein wo pehlay si kafiyyat nahi
Daal ab jholi mein ,teri mehrbani, aur dukh !!




No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets