Sunday 1 January 2012

Agar mumkin ho zakhm-e-hijr ka marham chura laayen




Samandar kAya karen geY qatra-e-shabnam chura laayen
Agar mumkin ho zakhm-e-hijr ka marham chura laayen
Baharo'n k chaley jaaney, khiza'n aaney ka dar na ho
Koi aisa muhabbat ka naya mosam chura laayen
Khabar ho neend ki pariyon na hi khwabon ki devi ko
Tumhen palkon ki doli men bitha kar hum chura laayen
Hamen jazbat k sehra ko bhi sairaab karna hai
kisi tootey huay insaan ki chashm-e-nam chura laayen
Tumhara sath hai to aik bus apna jeewan kyun
Jahaan waalon ki saari umr aao hum chura laayen
Sada ki muskurahat un k honto'n pey sajaaney ko
Chalo Shahi zara chupkey sey un k ghum chura laayen.

Poet:Yaseen Shahi

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets