Gumsum si rehguzar thi, kinara nadi ka tha.
Pani men chaand, chand men chehra kisi ka tha.
Ab zindagi sanbhal k leta hai tera naam.
Yeh dil keh jis ko shoq kabhi khudkushi ka tha.
Kuch abar bhi they baanjh zameen sey darey huey.
Kuch zaaiqa hawa men meri tishnagi ka tha.
Kehney ko dhoondtey they sabhi apney khad-o-khaal.
Warna meri ghazal men to sab kuch usi ka tha.
Wo ehtiyat-e-jan thi k be rabti-e-khayal.
Saaye pey bhi guman mujhey aadmi ka tha.
Mushkil kahan they tarak-e-mohabbat k marhaley.
Ay dil magar sawaal teri zindagi ka tha.
Wo jis ki dosti hi mataa-e-khaloos thi.
Mohsin wo shakhs bhi mera dushman kabhi ka tha.
No comments:
Post a Comment