Friday, 13 January 2012

Wo qissa-e-gham sunata raha... Mera zabt aazmata raha




Wo qissa-e-gham sunata raha.
Mera zabt aazmata raha.

Aaj sar-e-bazam wo apney.
Dil k daagh dikhata raha.

Noha-e-dil-e-barbad koi.
Akhir-e-shab ko gaata raha.

Kisi k haath men teer they.
Koi zakhm sehlata raha.

Wo sakuun ka matlashi tha.
Aur mujhey dard bhaata raha.

Us ki tanhai ka khayal.
Mujhey har pal satata raha.

Kaya he hijar-o-wasal aakhir.
Waqt mujhey samjhata raha.

Bhulaney sey wo nhi bhuula.
Reh reh kar yad aata raha.

Raqabat ki inteha dekho.
Suraj diya bujhata raha.

Khaak hui mein jal jal kar.
Zamana raakh urata raha.

Us ki aankh ka pani .
Mujhey shab bhar rulata raha.




No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets