Saturday 14 January 2012

Main siyah raat kay safar par hoon




Main siyah raat kay safar par hoon
aik qendeel yaad-e-janaan ki
haath men hai,magar hawa hai taiz

main to ik baat kay safar par hoon
jo kisi kunnj-e-labb say phooti thi
aur meri tamaam umr ko--- aik
dasht-e-pur khaar men dhakail ga'ee

saari subhein,usi kay naam huuin
saari fathein,usi kay naam huuin
main,faqat maat kay safar par hoon
main to ik baat kay safar par hoon!


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets