Nigaah E Shoq Sey Hum Ney Tumhien Eik Baar Dekha Tha
Koii Jazba Tha Pehli Baar Jisey Be-Daar Dekha Tha

Barra Sasta Zamana Hai Yhahan Ab Log Biktey Hain
Tera Soda Bhi Hum Ney Kal Sar-E-Bazaar Dekha Tha

Wo Jis K Hont Par Har Dum Sajii Muskaan Rehti Thi
Na Jaaney Kyon Usey Main Ney Barra Bezaar Dekha Tha

Roz O Shab Badalney Main Bhala Kaya Dair Lagti Hai
Jo Takht O Taaj Rakhtey Thay Unhien La-Chaar Dekha Tha

Hum Apney Dost Dushman Ki Khabar Jo Rakh Nahi Paa’ye
Usi Ney Waar Kar Dala Jisey Gham-Khwaar Dekha Tha

Tum Apni Be-Wafaii Par Agar Naadim Nahi Ho To
Aankhon Ko Tumhaari Phir Kyon Zair-e-Baar Dekha Tha