Wo ek masoom si chahat
Wo ek benaam si ulfat
Wo meri zaat ka hissa
Wo meri zeest ka qissa
Mujhey mehsuus hota hay
Wo meary paas hay ab bhi
Wo jub jub yaad aata hay
Nigahon may samata hay
Zuban khamosh hoti hay
Magar yeh aankh roti hay
Mein khud sey pooch leta hoon
Jisey mein yaad karta hoon
Usay kaya pyar tha mujh sey
Jwab “HAAN” soch leta hoon
Usay bhi pyar tha Shayad
Isi “Shayad” sey wabasta hay ab to her khushi meri
Yahi ek lafz “Shayad” ban gaya hay zindagi meri.
No comments:
Post a Comment