Terey badan sey chura ker mehak hawa dey gi,
Zakhm ko rang hara shokhi-e-saba dey gi.
Mujhey yaqeen hai jab mera tazkara ho ga,
Woh kuch kahey na kahey aankh muskura dey gi.
Mera her shair teri yaadon sey aashna yun hai,
Meri her ghazal merey dard ka pata dey gi.
Main kuch kahoon na kahoon lab sey magar yeh meri ghazal,
Dua ko aik naya tarz-e-iltija dey gi.
Jo khud ko bashar kahey or darey bashar sey hi,
Khuda ki ghaibi madad saath us ka kaya dey gi.
Terey khayal ki khushbu terey lafzon ki mehak,
Mujhey yeh darr hai keh shayar mujhey bana dey gi.
Main Tanhaa tha to nahi jurm-e-muhabbat sey qabal,
Kaya khabar thi keh woh tanhayee ki sazaa dey gi...!!!

No comments:
Post a Comment