Phir jee uthey hain jis sey woh imkaan, tum nahin
Ab jo bhi kar raha hai yeh ehsaan, tum nahin
Mujh men badal raha hai jo ik aalam e khayal
Uss lamha e junoon k nigehbaan, tum nahin
Bujhtey huey chiragh ki lo jis ney tez ki
Wo aur hi hawa hai meri jaan, tum nahin
Phir yoon hua keh jesey girah khul gayi koi
Mushkil to bus yahi thi keh asaan tum nahin
Tum ney suni nahin hai sada e shikast e dil
Hum jheeltey rahey hain yeh nuqsaan, tum nahin
Yeh aalam e zahoor hai hijrat zada Saleem
Hum bhi dukhi hain sirf preshaan tum nahin
No comments:
Post a Comment