Kahaa'n Kho Gaii Merii Zindgii Na kOii Pata Na kOii Khabar
Bhala Kaya Milla hUmen Ishq Say tU Bhi Dar-Badar Mein Bhi Dar-Badar
wO Khizaan Kay Aanay Say Paish-Tar Jahaan Baat Kartay Thay Baith Kar
Usii Amar-Bail Ki ChhaaOn Mein kOii Raah Takta hAi Raat Bhar
Abhi Din Charha hAi Zara Zara Ay Sawaad e Shab Abhi Thehar jAa
Abhi Kehna Chaha Tha Haal e Dil tU Bhi Chal Diya mUjhey ChhOr Kar
Na Hee Dil Main hAin Teri Chahten Na Shikaayaten Na Adaavaten
To Kaya Yeh Aankhen Chhalak Parrin Kabhi Ho Gaya Jo Tera Zikr
Kahaan dhOondtey Ho Mera Pata Main Wo PhOol hOOn Jo BiKhar Chuka
Millain Ujrray Ujrray Say Baam O Dar To Yeh SOchna Keh hAi Mera Ghar
tUjhay Kho Kay Aankhen Bahaayen khOon tUjhay Pa Kay Bhi Na Millay SakOon
Meri Chahaten Bhi Ajab Raheen Meray SilSilay Bhi Ajeeb Tar
Main Kahuun KiSsi Say To Kaya kahun hUa mUjh Pay Taari Ajab FasOon
Keh SakOot e Shab Meri Zindgii Keh Gham O Alam Meray hUmSaffar
Jahaan tUm Thay mUjh Say Khaffa hUay jahAan Apnay RaaStay jUda huay
Main MilOon Ga tUm Ko waheen Kaheen Ussi Raah Mein Ussi mOrr Par
tUjhay Kaya Kahuun Meray hUm-Nava Keh bURa hUa Ya Bhala hUA
Kabhi Zindgii Jo Milli mUjhey To Rahii Na BaaQii Merii Umr
No comments:
Post a Comment