Monday, 17 October 2011

khwaab ki titliyaN jab uReeN aankh se


raastay, manzilaiN, justaju.. aur maiN
ham nafas.. ik teri aarzu.. aur maiN


koi rishta, shanasaai, kuch bhi nahiN
aaina hai mere rubaru.. aur maiN


jugnuoN ki talab ka sila yeh mila
teergi hai mere chaar su.. aur maiN


khwaab ki titliyaN jab uReeN aankh se
reh gai khwahish-e-rang-o-bu.. aur maiN


raat bhar jaagtay haiN sitaroN talay
tera lehja.. teri guftagu.. aur maiN


aankh maiN khwaab ki kirchiyaN reh gayeeN
hath meiN qismatoN ka lahu.. aur maiN


sochti hooN.. kahaN jaooN, kis se kahooN
shehr dushman.. Fiza bhi adu.. aur maiN


ik mere ishq ki tishnagi.. aur tu
ik tere hijr ki aabju.. aur maiN


daaman-e-umr main sar chupa kar, bohat
ro diye haiN.. teri aarzu.. aur maiN


raig-e-sehra huwe haiN tere ishq maiN
mere aihsaas ki aabru.. aur maiN


mere saahir.. bichaRtay samay reh gayeeN
teri aankhaiN mere chaar su.. aur maiN


kaash aisa ho.. saahil kanaaray kabhi
!..aur koi na ho.. sirf tu.. aur maiN

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets