Sunday 1 April 2012

Zara Tham Tham k Barsa kar



Zara Tham Tham k Barsa kar,
Abhi Itna na Rootha kar

Abhi to door hai Manzil,
Abhi khud ko na Tanha kar.

Teri Ankhain Samandar hain,
Samandar ko na Sehra kar.

Mera Dil Doob jata hai,
Mujhy aisay na Daikha kar.

Hawa mujh sey kahey Pagal,
Na yun raston men baitha kar.

Wo eik din Chorr jaye ga,
Usay itna na Chaha kar !


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets