aakhiri Tiis aazmaney ko
ji to chaha tha muskuraney ko
yaad itni bhi sakht jaan to nahin
ik gharaunda raha hai dhaaney ko
sang'rezon men dhal gaye aansu
log hanstey rahey dikhaney ko
zaKhm-e-naghma bhi lau to deta hai
ik diya reh gaya jalaney ko
jalney vaaley to jal bujhey aakhir
kaun deta Khabar zamaney ko
kitney majbuur ho gaye hongey
an'kahi baat munh pey laaney ko
khul k hansna to sab ko aata hai
log tarastey rahey ik bahaney ko
reza reza bikhar gaya insaan
dil ki viraniyan jataney ko
hasraton ki panah'gahon men
kaya thikaney hain sar chhupaney ko
haath kaanTon sey kar liye zakhmi
phuul baalon men ik sajaney ko
aas ki baat ho keh saans ‘Ada’
yeh Khilauney hain tuuT janey ko
No comments:
Post a Comment