Musalsal rokti hoon usko sheher e dil men aanay sey
Magar who koh kan rukta nahin deewar dhanay sey
Bhala kaya dukh kay aangan men sulagti larkiyaan jaanen
Kahiin chuptay hain aansoo aanchalon men chupaanay sey
Abhi tu fasal taaza hai humaray harf o maani ki
Abhi darty nahin hum mausamon kay aanay jaanay sey
Abhi tu ishq men aankhen bujhi hain dil salamat hai
zameenen baanjh hoti hain kabhi faslen jalanay sey
Tujhay tanha muhabbat ka yeh dariya paar karna hai
Nadamat hogi us kay hoslon ko aazmanay sey
Humen kis zaraf kay kirdaar kay qissay sunata hai
Tujhay ay shehar hum bhi jaantay hain ek zamanay sey
Tujhay bhi zabt e gham kay shoq nay pathar bana dala
Tujhay ay dil buhat roka tha rasm o rah nibhanay sey
No comments:
Post a Comment