Khoon rona bhi ik hunar thehra /خون رونا بھی اک ہنر ٹھہرا
haal mat pooch ishq karnay ka
umr jeenay ki shoq marnay ka
woh muhabbat ki ehtiyaat kay din
haaye mausom woh khud say darnay ka
ab usay aainay say nafrat hai
kal jisay shoq tha sanwarnay ka
khud'kushi ko bhi raayegaan na samajh
kaam yeh bhi hai kar guzarnay ka
umr bhay kay azaab say mushkil
aik lamha, sawaal karnay ka
khoon rona bhi ik hunar thehra
baanj mausom men rang bharnay ka
toot'tay dil ko shoq hai mohsin
soorat e barg e gul bikharnay ka

Blogger Wordpress Gadgets
No comments:
Post a Comment