Mera chaara-gar raha be-khabar…
Woh tou dooriyoN ko dawa kahey
MajbooriyoN ko raza kahey
Jo main an-kahi ko kahun zeher
To woh aagahi ko saza kahe
Woh tou dooriyoN ko dawa kahey
MajbooriyoN ko raza kahey
Jo main an-kahi ko kahun zeher
To woh aagahi ko saza kahe
Mera chaara-gar raha be-khabar…
Whi be-qaraari ki saa’atein
Whi be-samar meri chaahatein
Nahin khaamshi ko gumaan bhi
Keh taras rahi hain samaa’atein
Whi be-qaraari ki saa’atein
Whi be-samar meri chaahatein
Nahin khaamshi ko gumaan bhi
Keh taras rahi hain samaa’atein
Mera chaara-gar raha be-khabar…
Iss shab ki koi sehar nahin
Mere dil pe uss ki nazar nahin
Nahin merey bakht mein chahatein
In haqeeqatoN sey mafar nahin
Iss shab ki koi sehar nahin
Mere dil pe uss ki nazar nahin
Nahin merey bakht mein chahatein
In haqeeqatoN sey mafar nahin
Mera chaara-gar raha bekhabar…
No comments:
Post a Comment