Monday 17 October 2011

bus ik chashm siyah bakht hai aur ik tera khavab

zawaal e shab hai sitaatron ko gard hona hai
pas e nigah abhi aik gham ko rona hai


ab is kay baad yehi kaar e umr hai keh hamen
palak palak men teri yaad ko pirona hai


yehi keh silsila naa'rasai khatam na ho
so jis ko paa na sakay hum,usi ko khona hai


jo lafz khul na saken aaenay pay,mitti hain
jo baat dil pay asar kar sakay sona hai


tu is ko torrna chaahay to torr sakta hai
keh zindagi teray haathon men ik khilona hai


bus ik chashm siyah bakht hai aur ik tera khavab
yeh khavab,khavab nhi orhna bichhona hai


safar hai dasht ka aur sir pay rakht e tanhai
yeh baar bhi isi umr e rawan ko dhona hai

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets