Wednesday 5 October 2011

Meray junoon kaa chiraagh jal kar, mujhay jala kar ujaarr gya hai


Meray junoon kaa chiraagh jal kar, mujhay jala kar ujaarr gya hai
Fasaad-e-Jaan ki jo zad mein aaya, woh dil to mujh say bichar gya 
hai

Woh itnaa dana, woh itna zeerak, Keh baat sunnay say pehlay janay
Woh shab-gazeedah, udaas raahi, Khud apnay dil say hi darr gya 
hai

Kai zamaanon mein reh kay us nay kai zamaanay kay raz janay
Abhi talaK to tha saath meray, abhii najaanay kidher gya 
hai

Bahaar rutt mein, khizaan gazeeda ghulaab khiL kar na mehak paae
Chaman kii aankhon mein be-bassi hai keh bagh sara ujarr gya 
hai

Woh kachi Mehndi saja kay haathon mein, mang jeewan say bhar rahi hai
Tu jis Safar pe hay saath uss kay, woh rastaa aagay say mur geya hai

Woh naam jiss ka kabhi tha Khalid azaab-e-ulfat mein mubtalah hai
Banon mein phirta hay maara maara, musaafton mein bikher gya hai

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets