Wednesday, 4 April 2012

bimar hain to ab dam-e-iisa kahan sey aaye




bimar hain to ab dam-e-iisa kahan sey aaye
is dil men dard-e-shauq-o-tamanna kahan sey aaye
be'kaar shara-e-lafz-o-maani sey faayeda
jab tu nahin to shehar men tujh sa kahan sey aaye
har chashm sang-e-khizb-o-adawat sey surkh hai
ab aadmi ko zindagi karna kahan sey aaye
wehshat hawas ki chaat gaii khaak-e-jism ko
be-dar gharon men shakl ka saya kahan sey aaye
jarr sey ukhar gaye to badalati ruton sey kaya
be-aab aainon men sarapa kahan sey aaye
saayon pey aitamad sey ukta gaya hai jee
tufaan men zindagi ka bharosa kahan sey aaye
gham k thaperrey ley gaye naagin sey lambey bal
raaton men jangalon ka woh saya kahan sey aaye
‘Naheed’ faishanon ney chupaye hain aib bhi
chashmay na hon to aankh ka parda kahan sey aaye

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets