meray humdam..meray sathi..
agarchay tay huwa tha kab?
keh tum say hum juda ho kar..
umar k kaghazoN maiN rang bharna bhool jayeN gay..
tumharay hijr k maaray..
khushi k rastay pe paaoN dharna bhool jayeN gay..
yeh ankhaiN hijr k taptay huwey sehra maiN gum ho kar
kisi piyasay ki manind wasl ki boondoN ko tarsaiN gi…
shahaabi rangatoN maiN zardiyaN ghul jayeN gi aisay
keh phir yeh phool meri jaaN mehakna bhool jayega..
khizaN mausam agar aaya…palatna bhool jayega..
na pehlay say raho gay tum
na yeh chahat na sarshaari..
magar dil maiN koi jazba… koi mohoom sa jazba
musalsal yeh batayega…
“muhabbat thi, muhabbat hai..”
agarchay tay huaa tha kab?
tumharay ba’d yooN hoga..
keh hum jeena na chahaiN gay..
magar jeenay ki khatir
umr ka israr bhi hoga..
tumhaiN dil say bhulana
is qadar dushwar bhi hoga..
kaho humdam.. kaho kuch to..
agarchay tay nahiN tha yeh…
to phir kaisa hai yeh jadu?
keh dil maiN naqsh hai ab tak
tumharay piyar ki khusbu..
nazar maiN dafn haiN ab tak
tumharay naam k aansu

No comments:
Post a Comment