Dair lagi aaney men tum ko shukar hai phir bhi aaye to
aas ney dil kaa saath na choraa waisey ham ghabraye to
Shafaq,dhanak,mahtaab,ghataayen, taarey, naghmey, bijalii, phuul
us daaman mei kaya kaya kuch hai wo daaman haath men aaye to
Chaahat k badley men ham to baich dein apni marzi tak
koi miley to dil ka gaahak koi hamein apnaaye to
kyun yeh mehr'angez tabassum mad-e-nazar jab kuch bhi nahin
haaye koi anjaan agar is dhokey men aa jaaye to
Suni sunaai baat nahin hai apney oopar beeti hai
phuul nikaltey hain sholon sey chaahat aag lagaaye to
Jhuut hai sab taareekh hamesha apney ko dohrati hai
acha hai mera khvaab javaani thora sa dohraye to
Naadaani aur majburi men yaaro kuch to farq karo
ek be'bas insaan karey kaya tuut k dil aa jaaye to

No comments:
Post a Comment