phir meray shehr sey guzra hai wo badal ki tarah
dast e gul phaila huwa hai meray aanchal ki tarah
keh raha hai kisi mausam ki kahani abb tak
jism barsaat mai bheegay huway jangal ki tarah
oonchi aawaz mai us nay tau kabhi baat na ki
khafgiyo'n mai bhi wo lehja raha komal ki tarah
mil k uss shakhs sey main laakh khamoshi say chaloo'n
bol utth'tee hai nazar paao'n ki chhagal ki tarah
paas jab tak wo rahay dard thama rehta hai
phailta rehta hai phir aankh k kaajal ki tarah
abb kisi taur sey ghar janay ki soorat hi nahee'n
raastay merey liye ho gaye daldal ki tarah
jism kay teeraa o aasaib zada mandar mai
dil sar e shaam sulag utth'ta hai sandal ki tarah
No comments:
Post a Comment