Friday 16 December 2011

uss sey zaroor wafa karna




ay be wafa!
itna to batlao mujh ko
woh jis ko aaj kal tum chahtay ho
jis ko apni Dilruba kehtay ho
kya woh bhi meray jaisi hai???
kya surkh rang
tumhain uss par bhi acha lagta hai???
uss k nain bhi kya
may khaanay k jaisay hain???
kya tum uss ko bhi
apni jaan aur apna dil kehtay ho???
uss ki muskaan bhi kya tumhain
sehra mein sawan ki phuaar lagti hai???
uss k aansuo'n sey bhi kya
tumhari jaan jaati hai???
kya uss ko bhi tum
bohat intizaar karwatay ho, bohat satatay ho???
kya woh bhi meri tarah chup chaap
har dukh, tumhari har zyad-dti seh jaati hai???
uss k dil sey khail kar bhi kya
tumhain ik anjani sii khushi hoti hai???
ay meray harjaii
sirf itna kehna chahoon gi
mujh sey naa sahi
uss sey zaroor wafa karna
apnay sachay pyar ki intiha karna
meray jaisi ik aur bad qismat larki ka
iss duniya mein izaafa naa karna
ho sakay to aisa karna




No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets