Monday, 19 December 2011

Aaj Aisa Kartay Hain Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain





Guftagu K Lamhon Men 
Dekh He Nahi Paatay 
Ham Tumharay Chehray Ko 
Tum Hamari Aankhon Ko 
Aaj Aisa Kartay Hain 
Chashm-o-lab Ko Parhtay Hain
Baat Chhor Datay Hain 

Jaaney Kaya Lamha Hoga 
Jab Yeh Haath Haathon Say 
Gar Kabhi Juda Hoga 
Aaj Aisa Kartay Hain 
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain 
Haath Chhor Datay Hain 

Kash Koi Samjha Day 
Log Kis Tarha Dil Ki 
Manzilain Alag Kar Kay 
Saath Chhor Detay Hain 
Aaj Aisa Kartay Hain 
Bey-sabab Bikhartay Hain 
Zaat Torr Detay Hain...


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets