Khud ko parhtaa hoon, chhor deta hoon
ek varq roz morr detaa hoon
is qadar zakhm hain nigaahon main
roz ek aaina torr deta hoon
main pujaari barastey phuulon ka
chhu k shaakhon ko chhor deta hoon
kaasa-e-shab men Khuun suraj kaa
qatraa qatraa nichor deta hoon
kaanptey hont bheegti palkain
baat adhuri hi chhor deta hoon
rait k ghar banaa banaa k “Fraz”
jaaney kyun Khud hi torr deta hon
ek varq roz morr detaa hoon
is qadar zakhm hain nigaahon main
roz ek aaina torr deta hoon
main pujaari barastey phuulon ka
chhu k shaakhon ko chhor deta hoon
kaasa-e-shab men Khuun suraj kaa
qatraa qatraa nichor deta hoon
kaanptey hont bheegti palkain
baat adhuri hi chhor deta hoon
rait k ghar banaa banaa k “Fraz”
jaaney kyun Khud hi torr deta hon
No comments:
Post a Comment