andhairon ka tasalsul mukhtasir honay nahin deta
sehar ka naam leta hay, sehar honay nahin deta
woh shab fitrat hay us ko roshni achhi nahin lagti
kisi gher main ujaalon ka guzer honay nahin deta
woh dehshat banTta hay khauf kay manzar bhi deta hay
koi shakh e tamanna baar'aawer honay nahin deta
woh saaray faislay hasb e zaroorat aap kerta hay
kisi ka harf, Harf e mu'taber honay nahin deta
hamesha doosron main faaslay taqseem kerta hay
woh logon ko baahem sheer o shakkar honay nahin deta
ameer e karawaN rehnay ka itna shoq hay us ko
keh danista bhi takmeel e safar honay nahin deta
No comments:
Post a Comment