Mohabbat tuu kisi bay deep
Qabrastan ki Boseeda si ik Qaber per
Who nassb katba hay
Keh jiss per saaf likha ho
Shaheed-e-rah-ay ulfat Ashiq-e-nakaam ka marqad……!
Mohabbat aik katba hay
Laga hota hay jo aksar
Kabhi layla kay marqad per
Kabhi majnoo ki hasrat per
Kabhi soni kay matkay per
Kabhi ranjhay kay teeron per…..!
Mohabbat aik katba hay Keh jis per saaf likha ho
Mohabbat moat ki aaghosh men sir rakh kay sona hay
Mohabbat dil pay lahaq rog hay
Taa umr rona hay
Mohabbat raat bhar ka jagna hay Jan khona hay…..!
Mohabat arzoo-o- hasrat-o-arman-o-kuwahish ki
Kisi maydaan men rakhee hui aik aisee mayyat hay
Keh jis ko kandha dainey kay liye Koi nahi aata…..!
Mager phir bhi Mager phir bhi
Labon per her kisi insan kay rakha hay ye jumla
MUJHEY TUM SEY MUHABBAT HEY…..
Koi mujh say ager keh day
Mujhey tum say mohaBbat hay
To dar jata hoon mein bay'had
Yeh he bas wehem aata hay
Keh yeh izhaar ka jumla
Mohabat ka yeh ik katba
Phir kisi bay deep Qabrastan ki
Boseeda si ik Qaber ki Ziinat na ban jaey
Mohabbat ka yeh katba Phir naee aafat na ban jaye…..!
Wohee katba Keh jiss per saaf likha hay
Shaheed-e- rah-ay ulfat ashiq-e-nakaam ka marqad
No comments:
Post a Comment