Sunday, 25 December 2011

Na Koi Rang Na Haathon Pay Hina Meray Baad



Na Koi Rang Na Haathon Pay Hina Meray Baad
Wo Mukammal He Siya Posh Huwa Meray Baad

Ley Kay Jata Raha Her Shaam Wo Phool Or Chiragh
Bus Yehi Us Ney Kiya, Jitna Jiya Meray Baad

Roz Ja Kar Wo Samander Kay Kinaray Chup Chaap
Naao Kaghaz Ki Bahata He Raha Meray Baad

Us Kay Honton Sey Mera Naam Nikal Jata Tha
Jis Ney Apnaya Usay Chor Diya meray Baad

Main Ney Girnay Na Diye Thay Kabhi Aansoo Us Kay
Shayad Is Waastay Wo Ro Na Saka Meray Baad

Main Bhi Waisa Na Raha Us Kay Bicher Jaanay Sey
Koi Us Ko Bhi Na Pehchaan Saka Meray Baad

Sari Dunya Ney Usay Maal-e-Ghanimat Samjha
Jo Na Socha Tha Kabhi Wo Bhi Huwa Meray Baad

Us Ka Hansna Mujhay Bhata Tha So Wo Shaks Adeem
Baal Kholay Huway Hansta He Raha Meray Baad




No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets