Friday 23 December 2011

ab bhi her december men uski yaad aati hai



mujh say poochtay hain log

kis liay december men

yuun udaas rehta hoon


koi dukh chupata hoon

ya kisi kay jaanay ka

 sog mein manaata hoon



aap meray album ka

safha safha dekhain gay

aaiiay dikhaata hoon

zabt aazmata hoon



sardiyon kay mauson men

garam garam coffee kay

chhotay chhotay sip lay kar

koi mujh say kehta tha

haaey is december men

kis bal'aa ki sardi hai

kitna thanda mausom hai

kitni yakh hawaayen hain

aap bhi ajab shay hain

itni sakht sardi men

ho kay itnay bayparwah

jeans aur t-shirt men

kis mazay say phirtay hain

shawl bhi mujhay day di

coat bhi aurrha daala

phir bhi kaanpti hoon mein

chaliay ab sharafat say

pehan leejiay sweater

aap kay liay mein nay

buun liya tha 2 din men

kitna maan tha usko

meri apni chaahat par



ab bhi her december men

uski yaad aati hai



garam garam coffee kay

chhotay chhotay sip lay kar

haath gaal par rakhay

hairat o ta'ajub say

mujh ko dekhti rehti

aur muskura deti

shokh o sard lehjay men

mujh say phir woh kehti thi



itnay sard mausom men

aadhi sleeves ki t-shirt!

is qadar na itraayen


seedhay seedhay ghar jaayen

ab ki baar jab aayen

brown trousers kay saath

black hi-neck pehnain

coat koi dhang sa lay lain

warna mein qasam say phir aisay rooth jaaun gi

saamnay na aaun gi

dhoondtay he rahiay ga

paas bethay abu kay

politics par keejiay  garam garam discussion

coffee lay kay kamray men, mein to phir na aaun gi

khaali khaali nazron say aap in khalaaon men

yuun he taktay rahiay ga

aur bay khayali par daantt khaatay rahiay ga


kitni mukhtalif thi woh

sab say munfarid thi woh

apni aik laghzish say

mein nay kho diya usko


ab bhi her december men

uski yaad aati hai


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets