jab sey wo aaya hai meray dhayaan men
zehn-o-dil hain Aalam-e-wajdan men
khud ba khud khawabon key darr khulney lagay
kaun aayaa hai meray makaan men
hum ney tera zikr chheraa aur phir
roshnii sii ho gaii da'laan men
wo gayya tou rooh ko bhi lay gayya
baat kaya thii dil k uss mehmaan men
hussn pardey sey nikal ker aur bhi
daal deta hai khal'al emaan men
jab kiyya ghaatey ka he souda kiyya
umr bher hum to rahay nuqsan men
chund sapney hein meray saathii "Baqaa"
aur kaya rakha hai ab samaan men
No comments:
Post a Comment