sitam men kaun karey ga muqabla uska
keh zakhm bharta nahee'n hai dia huwa uska
usool par wo muhabbat ko waar baithha tha
alag tha saarey jaha'n sey muamla uska
mujhey hai moja e toofa'n ka darr, usey kyu'n ho
safina uska, bhanwar uska, Na Khuda uska
andheri shab jisey sotey men chhorh aaya tha
main dinn chharhey karoo'n kiss tarha saamna uska
wo rubaroo merey anjaan ban gaya kaisa
main dekh dekh k haira'n hoo'n, hausla uska
jo tujh pey apni wafayen luta gaya chup chap
kabhi khayal bhi aaya, ay be wafa uska
"ye raah chhorh chuka hoo'n" wo jhoot kehta tha
abhi bhi raah pey taaza hai naqsh e paa uska
No comments:
Post a Comment