aks-e-khushbu hoon bikharaney sey na rokey koyi
aur bikhar jaaun to, mujh ko na sameTey koyi
kaanp uThatii hoon main soch kar tanhaaii men
meray chehray par tera naam na parh ley koyi
jis tarah khavab ho gaey meray reza reza
is tarha sey, kabhi TooT kar, na bikharey koyi
ab to is raah sey vo shakhs guzarta bhi naheen
ab kis ummeed par darvaazey sey jhaankey koyi
koyi aahaT, koyi aavaaz, koyi chaap nahee
dil kee galiyaan baree sunasaan hain aaye koyi

No comments:
Post a Comment