😊 I love poetry and specially Urdu poetry. I am here to share my favourite poetry with you. I hope you like it and please don't forget to show your love by liking, commenting and following the blog. 😊
Friday, 30 December 2011
Thursday, 29 December 2011
jab sey wo aaya hai meray dhayaan men
jab sey wo aaya hai meray dhayaan men
zehn-o-dil hain Aalam-e-wajdan men
khud ba khud khawabon key darr khulney lagay
kaun aayaa hai meray makaan men
hum ney tera zikr chheraa aur phir
roshnii sii ho gaii da'laan men
wo gayya tou rooh ko bhi lay gayya
baat kaya thii dil k uss mehmaan men
hussn pardey sey nikal ker aur bhi
daal deta hai khal'al emaan men
jab kiyya ghaatey ka he souda kiyya
umr bher hum to rahay nuqsan men
chund sapney hein meray saathii "Baqaa"
aur kaya rakha hai ab samaan men
Wednesday, 28 December 2011
Tumhari Chahton K Phool To Mahfooz Rakhey Hen
Yeh Mat kehna Keh teri Yaad Sey Rishta Nahi Rakha
mein Khud Tanha Raha“ Dil Ko Magar Tanha Nahi Rakha
Tumhari Chahton K Phool To Mahfooz Rakhey Hen
Tumhari Nafrtoon K pairr Ko Zinda Nahi Rakha
Tumhari Nafrtoon K pairr Ko Zinda Nahi Rakha
Meray Gulshan Peh Bhi Aaya Hai Mosam Tang Dasti Ka
Khuda Ka Shukar Hai Us Ney Mujhey Bhooka Nahi Rakha
Faqt yeh Soch kar Dil Ko Barri Taskeen Milti Hai
Keh Mein Ney Apney Chehrey Par Koi Chehra Nahi Rakha
Mein APney Haal Mein Khush Hoon Woh Apney Haal Mein Khush Hai
Keh Hum Miltey To Hen Lekin Rishta Nahi Rakha
Kahin par Naam Hai Tera Kahin Tasveer Hai teri
Kitaab e Zist Ka Koi Warq Saada Nahi Rakha
Koi Bhi Anjuman Ho Bas Tumhara Zikar kartey Hen
Tumhari Yaad Say Ghafil Koi Lamha Nahi Rakha
Na Jannay Dar'bdar phirney Ka Kesa Shok Hai Tujh Ko
Mujhey Yeh To Bata Mujh Mein Kaya Nahi Rakha
Mein Thehra Ajnabi Mujh Ko To Galiyon Men Batakna Tha
Magar Tu Ney Bhi To Koi Dareecha Waa Nahi Rakha
Irshad is Shehar Men Kaya Haadsa Ho Ga Keh Logon Ney
Kahin Pathar Nahi Rakha Shiisha Nahi Rakha
SHEHAR-E-KHAYAL-O-KHAWAB MEN ABAAD HO GAYA
SHEHAR-E-KHAYAL-O-KHAWAB MEN ABAAD HO GAYA
ITNA USAY PARHA KEH MUJHEY YAAD HO GAYA
MAIN AAJ TAK HUN JIS K FARAIB-O-HISAR MEN
WOH AUR HE KISI KA MEREY BAAD HO GAYA
AANDHI HAWA KA SATH NIBHANEY K SHOK MAIN
KOI TABAH HO GAYA KOI BARBAD HO GAYA
APNI TO SAARI UMR ASEERI MEN KATT GAYEE
JIS NEY BHI HAAR MAAN LI AZAAD HO GAYA
PEHLAY TO PAANIYON SEY RAHI GUFTAGU MERI
PHIR YOUN HUA KEH AAINA EJAAD HO GAYA
Sunday, 25 December 2011
tujh ko dekhoon to meray dard ko milta hai sukoon
ashk girtay hain meri saans sambhal jati hai
dey k ik dard naya shaam nikal jati hai
tujh ko dekhoon to meray dard ko milta hai sukoon
tujh sey bichron to meri jaan nikal jati hai
ishq kuchh aisey mitata hai nishan-e hasti
jaisey har raat ujaalay ko nigal jati hai
zakhm bharta hi nahi teri judaai ka magar
phir teri yaad naya dard ugal jati hai
tu agar meray dil pey hath he rakh dey Faraz
toot'ti saans bhi kuch dair sambhal jati hai
zaKhm-e-tanhaaii men Khushbuu-e-hinaa kis kii thii
zaKhm-e-tanhaaii men Khushbuu-e-hinaa kis kii thii
saayaa diivaar pey meraa thaa sadaa kis kii thii
uskii raftaar sey lipaTii rahii merii aaNkhen
us ney muRR kar bhii na dekhaa keh vafaa kis kii thii
vaqt kii tarha dabay paaoN yeh kaun aayaa hai
main aNdheraa jisey samajhaa vo qabaa kis kii thii
aaNsuon sey hii sahii bhar gayaa daaman meraa
haath to main ney uThaaye they duaa kisakii thii
merii aahon kii zabaan koii samajhataa kaisey
zindagii itnii dukhii merey sivaa kis kii thii
aag sey dostii us kii thii jalaa ghar meraa
dii gaee kis ko sazaa aur Khataa kis kii thii
main ney biinaaiyaaN bo kar bhii andherey kaaTey
kis k bas men thii zamiin abr-o-havaa kis kii thii
chhor dii kis liye tuu ney "Muzaffar" duniyaa
justjuu sii tujhey har vaqt bataa kisakii thii
saayaa diivaar pey meraa thaa sadaa kis kii thii
uskii raftaar sey lipaTii rahii merii aaNkhen
us ney muRR kar bhii na dekhaa keh vafaa kis kii thii
vaqt kii tarha dabay paaoN yeh kaun aayaa hai
main aNdheraa jisey samajhaa vo qabaa kis kii thii
aaNsuon sey hii sahii bhar gayaa daaman meraa
haath to main ney uThaaye they duaa kisakii thii
merii aahon kii zabaan koii samajhataa kaisey
zindagii itnii dukhii merey sivaa kis kii thii
aag sey dostii us kii thii jalaa ghar meraa
dii gaee kis ko sazaa aur Khataa kis kii thii
main ney biinaaiyaaN bo kar bhii andherey kaaTey
kis k bas men thii zamiin abr-o-havaa kis kii thii
chhor dii kis liye tuu ney "Muzaffar" duniyaa
justjuu sii tujhey har vaqt bataa kisakii thii
یہ زمستانِ تعلق یہ ہوائے قربت
دشت کی تیز ہواؤں میں بکھر جاؤگے کیا
ایک دن گھر نہیں جاؤ گے تو مر جاؤ گے کیا
پیڑ نے چاند کو آغوش میں لے رکھا ہے
میں تمھیں روکنا چاہوں تو ٹہھر جاؤگے کیا
یہ زمستانِ تعلق یہ ہوائے قربت
آگ اوڑھو گے نہیں یونہی ٹھٹھر جاؤگے
یہ تکلم بھری آنکھیں، یہ ترنّم بھرے ہونٹ
تم اسی حالتِ رسوائی میں گھر جاؤگے کیا
لوٹ آؤگے مرے پاس پرندے کی طرح
مری آواز کی سرحد سے گزر جاؤگے کیا
چھوڑ کر ناؤ میں تنہا مجھے عاصم تم بھی
کسی گمنام جزیرے پہ اُتر جاؤگے کیا
اجاڑ لمحوں کی داستانیں جو تم کہو تو سنائیں تم کو
اجاڑ لمحوں کی داستانیں جو تم کہو تو سنائیں تم کو
بہت سا ھم جاگتے رھے ھیں چلو ذرا سا جگائیں تم کو
تم ھی ھو جو روشنی سی بن کر ھماری آنکھوں میں آبسے ھو
جب اپنی آنکھیں ھی کہ دیا ھے تو پھربھلا کیوں رلائیں تم کو
غبار آلود راستوں میں تلاش کرکر کے تھک گئے ھیں
کہاں پہ جا کے بسے ھوئے ھو، کہاں سے ھم ڈھونڈھ لائیں تم کو
تمہیں تو سکھ آ گئے میسر، تمھیں تو ھم یاد ھی نہیں ھیں
مگر یہ بتاؤ کہ ھم جو چاھیں تو کس ترھ بھلائیں تم کو
کہو کہ جاذب یہ جھوٹ ھے نا کہ تم نے اس کو بھلا دیا ھے
ابھی تلک جس کی شوخ یادیں ھر ایک لمحے ستائیں تم کو
Na Koi Rang Na Haathon Pay Hina Meray Baad
Na Koi Rang Na Haathon Pay Hina Meray Baad
Wo Mukammal He Siya Posh Huwa Meray Baad
Ley Kay Jata Raha Her Shaam Wo Phool Or Chiragh
Bus Yehi Us Ney Kiya, Jitna Jiya Meray Baad
Roz Ja Kar Wo Samander Kay Kinaray Chup Chaap
Naao Kaghaz Ki Bahata He Raha Meray Baad
Us Kay Honton Sey Mera Naam Nikal Jata Tha
Jis Ney Apnaya Usay Chor Diya meray Baad
Main Ney Girnay Na Diye Thay Kabhi Aansoo Us Kay
Shayad Is Waastay Wo Ro Na Saka Meray Baad
Main Bhi Waisa Na Raha Us Kay Bicher Jaanay Sey
Koi Us Ko Bhi Na Pehchaan Saka Meray Baad
Sari Dunya Ney Usay Maal-e-Ghanimat Samjha
Jo Na Socha Tha Kabhi Wo Bhi Huwa Meray Baad
Us Ka Hansna Mujhay Bhata Tha So Wo Shaks Adeem
Baal Kholay Huway Hansta He Raha Meray Baad
جلا کے تو بھی اگر آسرا نہ دے مجھ کو
جلا کے تو بھی اگر آسرا نہ دے مجھ کو
یہ خو ف ہے کہ ہوا پھر بجھا نہ دے مجھ کو
یہ خو ف ہے کہ ہوا پھر بجھا نہ دے مجھ کو
میں اس خیال سے سے مڑ مڑ کے دیکھتا ہوں اسے
بچھڑ کے وہ بھی کہیں پھر صد ا نہ دے مجھ کو
فضا ئے دشت اگر اب بھی گھر کو یا د کروں
وہ خاک اڑے کہ ہوا راستہ نہ دے مجھ کو
بس اس خیال سے میں شب بھر سو نہیں سکتا
کہ خوفِ خوابِ گذ شتہ جگا نہ دے مجھ کو
تیر ے بغیر تیری طرح میں ذ ندہ ر ہوں
یہ حو صلہ بھی دعا کر نہ دے خدا مجھ کو
میں اس لئے بھی اسے منا ؤں گا محسن
کہ مجھ سے رو ٹھنے والا بھلا نہ دے مجھ کو
کل پرسش احوال کی جو یار نے میرے
کل پرسش احوال کی جو یار نے میرے
کس رشک سے دیکھا غمخوار نے میرے
کس رشک سے دیکھا غمخوار نے میرے
بس اک ترا نام چپانے کی غرض سے
کس کس کو پکارا دل بیمار نے میرے
کس کس کو پکارا دل بیمار نے میرے
یا گرمئ بازار تھی یا خوف زبان تھا
پھر بیچ دیا مجھ کو خریدار نے میرے
ویرانی میں بڑھ کر تھے بیاباں سے تو پھر کیوں
شرمندہ کیا ہے در و دیوار نے میرے
جب شاعری پردہ ہے فراز اپنے جنوں کا
پھر کیوں مجھے رسوا کیا اشعار نے میرے
تمام عمر ہمیں انتظار کس کا تھا
ڈرے ہوؤں کو مگر اعتبار کس کا تھا
تمام عمر ہمیں انتظار کس کا تھا
اڑا غبار ہوا سے تو راہ خالی تھی
وہ کون شخص تھا اس میں، غبار کس کا تھا
لئے پھرا جو مجھے در بدر زمانے میں
خیال تجھ کو دل بے قرار! کس کا تھا
روش سے ہٹ کے بنے اک مکان نو کے قریب
وہ خوں تھا کس کا، وہ پھولوں کا ہار کس کا تھا
یہ جبر مرگ مسلسل ہی زندگی ہے منیر
جہاں میں اس پہ کبھی اختیار کس کا تھا
میں اُس کو ڈھونڈ رہا ہوں طویل مدّت سے
مِرے وجود کے صحرا سے پار کر مُجھ کو
ہوائے وقت کی شدّت! غبار کر مُجھ کو
میں اُس کو ڈھونڈ رہا ہوں طویل مدّت سے
وہ چھُپ گیا ہے کہیں تو پکار کر مُجھ کو
تمہاری زُلف سنواری ہے زندگی میں نے
تُو محسنوں میں کبھی تو شمار کر مُجھ کو
میں تیز گام ہوا ہوں زمانے دیکھ مجھے
تُو اپنے دوش پہ اب تو سوار کر مُجھ کو
کہیں تو ختم بھی کر دے سفر اذیّت کا
کہیں تو پھینک مِرے یار! مار کر مُجھ کو
مِل گیا تھا تو اُسے خود سے خفا رکھنا تھا
مِل گیا تھا تو اُسے خود سے خفا رکھنا تھا
دل کو کچھ دیر تو مصروفِ دعا رکھنا تھا
میں نہ کہتا تھا کہ سانپوں سے اَٹے ہیں رستے
گھر سے نکلے تھے تو ہاتھوں میں عصا رکھنا تھا
بات جب ترکِ تعّلُق پہ ہی ٹھہری تھی تو پھر
دل میں احساسِ غمِ یار بھی کیا رکھنا تھا
دامنِ موجِ ہَوا یوں تو نہ خالی جاتا
گھر کی دہلیز پہ کوئی تو دیا رکھنا تھا
کوئی جگنو تہہِ داماں بھی چھُپا سکتے تھے
کوئی آنسو پسِ مژگاں ہی بچا رکھنا تھا
کیا خبر اُس کے تعاقب میں ہوں کتنی سوچیں؟
اپنا انداز تو اوروں سے جدُا رکھنا تھا
چاندنی بند کواڑوں میں کہاں اُترے گی؟
اِک دریچہ تو بھرے گھر میں کھلا رکھنا تھا
اُس کی خوشبو سے سجانا تھا جو دل کو محسن
اُس کی سانسوں کا لقب موجِ صبا رکھنا تھا
har ek naqsh pey tha teray naqsh-e-paa kaa gumaaN
Hazaar gardish-e-shaam-o-sehar sey guzray hain
vo qaafiley jo terii rah_guzer sey guzray hain
abhii havas ko mayyassar nahin dilon kaa gudaaz
abhii yeh log muqaam-e-nazar sey guzray hain
har ek naqsh pey tha teray naqsh-e-paa kaa gumaaN
qadam qadam pey terii rahguzar sey guzray hain
na jaaney kaun sii manzil pey jaa k ruk jaayain
nazar k qaafiley deevar-o-der sey guzray hain
kuchh aur phail gaeen dard kii kaThin raahain
Gham-e-firaaq k maarey jidhar sey guzray hain
jahaN suroor mayyassar tha jaam-o-maey k baGhair
vo maikadey bhii hamaarii nazar sey guzray hain
محبت کو بھلانا چاہیے تھا
محبت کو بھلانا چاہیے تھا
مجھے جی کر دکھانا چاہیے تھا
مجھے تو ساتھ اس کا بھی بہت تھا
اسے سارا زمانہ چاہیے تھا
پرندہ اس لیے بے کل تھا اتنا
اسے بھی آشیانہ چاہیے تھا
تم اُس کے بن ادھورے ہو گئے ہو
تمہیں اُس کو بتانا چاہیے تھا
بہت پھرتا رہا تھا در بدر میں
مجھے بھی اک ٹھکانہ چاہیے تھا
چراغاں ہو رہا تھا شہر بھر میں
ہمیں بھی دل جلانا چاہیےتھا
Saturday, 24 December 2011
ajab pagal sa larka hai
ajab pagal sa larka hai
wo mujh sey jab bhi milta hai
mujhay her baar kehta hai
teray honay sey meri zaat ki takmeel hoti hai
usay maloom bhi hai main to khud ik aam larki hoon
magar wo mujh sey kehta hai
nahi tum sa koi dooja
ajab pagal sa larka hai
wo mujh sey jab bhi milta hai
naya ik naam deta hai, naii pehchaan deta hai
meray andar k sab mosam bina meray kahey hi wo hamesha
jaan laita hai
meri barson purani baat bhi wo yaad rakhta hai
mujhay her baar kehta hai
teri aawaz ka jadoo mujhay sonay nahi deta
wo mujh sey jab bhi milta hai
naya ik naam deta hai, naii pehchaan deta hai
meray andar k sab mosam bina meray kahey hi wo hamesha
jaan laita hai
meri barson purani baat bhi wo yaad rakhta hai
mujhay her baar kehta hai
teri aawaz ka jadoo mujhay sonay nahi deta
ajab pagal sa larka hai
wo mujh sey jab bhi milta hai
to pehron mujh ko takta hai
usay her rang jo main ney ho pehna, acha lagta hai
usay her khawab jo main ney ho dekha, sacha lagta hai
wo mujh sey jab bhi milta hai
to pehron mujh ko takta hai
usay her rang jo main ney ho pehna, acha lagta hai
usay her khawab jo main ney ho dekha, sacha lagta hai
ajab pagal sa larka hai
wo mujh sey jab bhi milta hai
mujhay her baar kehta hai
teri muskaan janan zindagi main rang bharti hai
mujhay dukh k andheron main kabhi khonay nahi deti
usay meray hina-ii haath takna acha lagta hai
usay mujh ko mujhi ko sochnay ki janay kaya zid hai
ho din ka koi bhi lamha, andheri raat ka pal ho
wo mujh ko socha karta hai, mujhi ko yaad rakhta hai
wo mujh sey jab bhi milta hai
mujhay her baar kehta hai
teri muskaan janan zindagi main rang bharti hai
mujhay dukh k andheron main kabhi khonay nahi deti
usay meray hina-ii haath takna acha lagta hai
usay mujh ko mujhi ko sochnay ki janay kaya zid hai
ho din ka koi bhi lamha, andheri raat ka pal ho
wo mujh ko socha karta hai, mujhi ko yaad rakhta hai
ajab pagal sa larka hai
wo mujh sey jab bhi milta hai
hazaron baar kehta hai
mujhay tum sey mohabbat hi nahi ishq hai janan
bus ik pal main wo apna aap mujh ko sonp deta hai
main us pagal sey larkay k liye ab aur kaya likhoon
mujhay us ko batana hai
keh us ki muskurahat per
main duniya waar sakti hoon
bus us ki aik aahat per
main jeewan haar sakti hoon
mujhay us sey mohabbat hai
mujhay bhi ishq hai us sey
ajab pagal sa larka hai
ajab pagal si main bhi hoon
wo mujh sey jab bhi milta hai
hazaron baar kehta hai
mujhay tum sey mohabbat hi nahi ishq hai janan
bus ik pal main wo apna aap mujh ko sonp deta hai
main us pagal sey larkay k liye ab aur kaya likhoon
mujhay us ko batana hai
keh us ki muskurahat per
main duniya waar sakti hoon
bus us ki aik aahat per
main jeewan haar sakti hoon
mujhay us sey mohabbat hai
mujhay bhi ishq hai us sey
ajab pagal sa larka hai
ajab pagal si main bhi hoon
Friday, 23 December 2011
Jaan Kani
Mujhay Yaad Hai ......
Pichlay Saal Inhi Dinon Men
Main Ney Tumhain Apnay Ander
Saatveen Baar Qatl Kar K Waheen Kaheen
Kisi Veeranay Men Dafan Kar Dia Tha
Or Tumhari Qabr....
Faramoshi K Bhaari Pathron Say Bhar Dee Thi..
Or Is Say Bhi Pehlay Aik Baar
Door Daraaz Say Aanay Walay
Kisi DAYO Haikal Parindon K Paron Say....
Or Is Say Bhi Pehlay Aik Baar
Bilkul Inhi Dinon
Main Nay Tumhain Mukamal Taur Par Jala Kar
Tumhari Raakh Taiz Behtay Huway Darya Main Bahaa Dee Thi
Lekin Is Saari Jaan Kani K Bawajood
Tum Aaj Phir Hamesha Ki Tarha
Meri Aankhoon Men Aankhain Daalay
Meray Dil Ko Apni Mutthi Main Jakray
Merey Saamnay Kharri Ho ....!!!!
Kabhi Tumhen Bhi Muhabbat Ney Maat Di Ho gi
Kabhi Kabhi Yun Hi Dil men Gumaan Sa Hota Hai,
Kabhi Tumhen Bhi Muhabbat Ney Maat Di Hogi,
Tumhaarey Dil k Dharakney Ka Aakhri Mousam,
Kahi'n Haseen Nazaaron Men Kho Gaya Hoga,
Tumhaarey Dil Men Machalta Huwa Koi Armaan,
Wo Sard Chandni Raaton men So Gaya Hoga,
Tumhaarey Saaz-e-Muhabbat k Taar Jab Tootey,
Milan ka Geet Saraabon men Kho Gaya Hoga,
Kabhi Kabhi Yun Hi Dil men Gumaan Sa Hota Hai....
Guzartey Waqt ney Phir Zakham Bhar diye Hon gey,
Tumhaarey Chaak Girebaan bhi See Diye Hon gey,
Tumhaarey Ashk Sitaaron ney Chun liye Hon gey,
Tumhaarey Khawaab Nazaaron Ney Bun liye Hon gey,
Yeh Sab to Theek Hai Lekin Tumhaarey Dil Ka Naqeeb,
Tumhaari Zeest ki Raahon men Chupp Gaya Hoga,
Tumhaari Khojti Aankhon men Aur Dil k Qareeb,
Woh Ek Dard-e-Musalsal keh Bas Gaya Hoga,
Kabhi Kabhi Yun Hi Dil men Gumaan Sa Hota Hai...
Tumhaari Sharbati Aankhon men EK Nami si Hai,
Tumhaari Zeest men Shayad Koi Kami si Hai,
Tumhaarey Sard Badan Aur Laraztey Ho'nton Par,
Kabhi Jo Barf Giri Thi Woh Ab Jami si Hai,
Tab Hi To Tum ko Kisi Baat ka Khayaal Nahi,
Magar Mujhey Bhi Tagaful ka Kuch Malaal Nahi,
Main Mutma'in Huun keh Tum Chup Ki Dast-Ras men Ho,
Tumhaarey Ho'nton par Merey Liye Sawaal Nahi,
Magar Yeh kaya keh Jigar men Dhuwaa'n sa Hota Hai,
Kabhi Kabhi Yun Hi Dil men Gumaan Sa Hota Hai,
Kabhi Tumhen Bhi Muhabbat Ney Maat Di Ho gi
sitam men kaun karey ga muqabla uska
sitam men kaun karey ga muqabla uska
keh zakhm bharta nahee'n hai dia huwa uska
usool par wo muhabbat ko waar baithha tha
alag tha saarey jaha'n sey muamla uska
mujhey hai moja e toofa'n ka darr, usey kyu'n ho
safina uska, bhanwar uska, Na Khuda uska
andheri shab jisey sotey men chhorh aaya tha
main dinn chharhey karoo'n kiss tarha saamna uska
wo rubaroo merey anjaan ban gaya kaisa
main dekh dekh k haira'n hoo'n, hausla uska
jo tujh pey apni wafayen luta gaya chup chap
kabhi khayal bhi aaya, ay be wafa uska
"ye raah chhorh chuka hoo'n" wo jhoot kehta tha
abhi bhi raah pey taaza hai naqsh e paa uska
ab bhi her december men uski yaad aati hai
mujh say poochtay hain log
koi dukh chupata hoon
ya kisi kay jaanay ka
ya kisi kay jaanay ka
aap meray album ka
aaiiay dikhaata hoon
zabt aazmata hoon
sardiyon kay mauson men
garam garam coffee kay
chhotay chhotay sip lay kar
koi mujh say kehta tha
haaey is december men
kis bal'aa ki sardi hai
kitna thanda mausom hai
kitni yakh hawaayen hain
aap bhi ajab shay hain
itni sakht sardi men
ho kay itnay bayparwah
jeans aur t-shirt men
kis mazay say phirtay hain
shawl bhi mujhay day di
coat bhi aurrha daala
phir bhi kaanpti hoon mein
chaliay ab sharafat say
pehan leejiay sweater
aap kay liay mein nay
buun liya tha 2 din men
kitna maan tha usko
meri apni chaahat par
ab bhi her december men
uski yaad aati hai
garam garam coffee kay
chhotay chhotay sip lay kar
haath gaal par rakhay
hairat o ta'ajub say
mujh ko dekhti rehti
aur muskura deti
shokh o sard lehjay men
mujh say phir woh kehti thi
itnay sard mausom men
aadhi sleeves ki t-shirt!
is qadar na itraayen
aadhi sleeves ki t-shirt!
is qadar na itraayen
seedhay seedhay ghar jaayen
ab ki baar jab aayen
brown trousers kay saath
black hi-neck pehnain
coat koi dhang sa lay lain
warna mein qasam say phir aisay rooth jaaun gi
saamnay na aaun gi
dhoondtay he rahiay ga
paas bethay abu kay
politics par keejiay garam garam discussion
coffee lay kay kamray men, mein to phir na aaun gi
khaali khaali nazron say aap in khalaaon men
yuun he taktay rahiay ga
aur bay khayali par daantt khaatay rahiay ga
ab ki baar jab aayen
brown trousers kay saath
black hi-neck pehnain
coat koi dhang sa lay lain
warna mein qasam say phir aisay rooth jaaun gi
saamnay na aaun gi
dhoondtay he rahiay ga
paas bethay abu kay
politics par keejiay garam garam discussion
coffee lay kay kamray men, mein to phir na aaun gi
khaali khaali nazron say aap in khalaaon men
yuun he taktay rahiay ga
aur bay khayali par daantt khaatay rahiay ga
sab say munfarid thi woh
apni aik laghzish say
mein nay kho diya usko
جب سُلگتی ہے تیری یاد میں جل کر بارش
مجھ سے کیوں ملتی ہے اب روپ بدل کر بارش
پھر تیرے لمس کا احساس ہونے لگتا ہے
جب بھی بہتی ہے میرے اشکوں میں ڈھل کر بارش
دُھواں سا اُٹھتا ہے تب شہر ِ دل کی گلیوں سے
جب سُلگتی ہے تیری یاد میں جل کر بارش
ضبطِ غم ٹوٹنے نہ پائے، تم صدا دیتی رہو
خود ہی آجائے گی دروازے پہ چل کر بارش
میں تو اب پیاس کے سہرا میں پناہ لے ہی چُکا
کیوں مجھے ڈھونڈتی ہے ہاتھوں کو مل کر بارش
Thursday, 22 December 2011
چاند چہرہ، ستارہ آنکھيں
چاند چہرہ، ستارہ آنکھيں
ميرے خدايا
ميں زندگي کے عذاب لکھوں
کہ خواب لکھوں
يہ ميرا چہرہ، يہ ميري آنکھيں
بُجھے ہوئے سے چراغ جيسے
جو پھر سے جلنے کے منتظر ہوں
وہ چاند چہرہ، ستارہ آنکھيں
وہ مہرباں سايہ دار زلفيں
جنہوں نے پيماں کيے تھے مجھ سے
رفاقتوں کے، محبتوں کے
کہا تھا مجھ سے
کہ اے مسافر رِہ وفا کے
جہاں بھي جائے گا
ہم بھي آئيں گے ساتھ تيرے
بنيں گے راتوں ميں چاندني ہم
تو دن ميں تارے بکھير ديں گے
وہ چاند چہرہ، ستارہ آنکھيں
وہ مہرباں سايہ دار زلفيں
وہ اپنے پيماں
رفاقتوں کے، محبتوں کے
شکست کرکے
نہ جانے اب کس کي رہ گزر کا
مينارہِ روشني ہوئے ہيں
مگر مسافر کو کيا خبر ہے
وہ چاند چہرہ تو بجھ گيا ہے
ستارہ آنکھيں تو سو گئي ہيں
وہ زلفيں بے سايہ ہو گئيں ہيں
وہ روشني اور وہ سائے مري عطا تھے
سو مري راہوں ميں آج بھي ہيں
کہ ميں مسافر رہِ وفا کا
وہ چاند چہرہ، ستارہ آنکھيں
وہ مہرباں سايہ دار زلفيں
ہزاروں چہروں، ہزاروں آنکھوں، ہزاروں زلفوں کا
ايک سيلابِ تند لے کر
ميرے تعاقب ميں آرہے ہيں
ہر ايک چہرہ ہے چاند چہرہ
ہيں ساري آنکھيں ستارہ آنکھيں
تمام ہيں مہرباں سايہ دار زلفيں
ميں کِس کو چاہوں، ميں کس کو چُوموں
ميں کس کے سايہ ميں بيٹھ جاؤں
بچوں کہ طوفاں ميں ڈوب جاؤں
کہ ميرا چہرہ، نہ ميري آنکھيں
ميرے خدايا ميں زندگي کے عذاب لکھوں، کہ خواب لکھوں
مچلتی ہے میری آغوش میں خوشبوئے یار اب تک
مچلتی ہے میری آغوش میں خوشبوئے یار اب تک
میری آنکھوں میں ہے اُس سحرِ رنگین کا خمار اب تک
زمانہ ہو چکا اس اوّلیں مڈبھیڑ کو، لیکن
سنائی دے رہی ہے تیری نظروں کی پکار اب تک
غمِ دوراں کی تاریکی کے سیلِ بیکراں اُمڈے
مگر ٹوُٹا نہیں تیری تجلی کا حصار اب تک
شبستانوں کے در ہر چند مُجھ پر وا نہیں ہوتے
مگر اِک مست و بیخود رات کا ہے انتظار اب تک
کوئی آتا نہیں اب دل کی بستی میں، مگر پھر بھی
اُمیدوں کے چراغوں سے ہیں روشن رہگزار اب تک
ابھی تک نصف شب کو چاندنی گاتی ہے جھرنوں میں
نہیں بدلی شبابِ منتظر کی یاد گار اب تک
جلا رکھے ہیں شہراہوں پہ اشکوں کے دِیے کب سے
نہیں گزرا مگر اس سمت سے وہ شہسوار اب تک
جو حُسن و عشق کی پیکار میں آنکھوں سے ٹپکے تھے
انھیں تاروں سے ہے دامانِ ہستی زرنگار اب تک
شکستِ آرزو کو عِشق کا انجام کیوں سمجھوں
مقابل ہے میرے آئینۂ لیل و نہار اب تک
ندیم ان مشعلوں کی جگمگاہٹ بڑھتی جاتی ہے
کہ لہرایا نہیں اس بزم میں دامانِ یار اب تک
Wednesday, 21 December 2011
Terey Bagheir Adhoori hay Zindagi
Tum yaad Ho To Naqsh Ho Merey Hawaas par
Tum Ashk Ho To Merey Dukhon Ka ILaaj Ho
Tum Khuwab Ho To Meri Aankhon Main Ho kahin
Tum Wehem Ho To Mujh Ko Haqeeqat Say Kaya Gharz
Tum Bayes-e-Safar Ho, Huner Ki URaan Ho
Tum Neend Ho To So K Guzarein Gay yeh Hayaat
Tum Husn Ho To Merey Takhayyul Ki Jaan Ho
Tum Raat Ho To Mujh Ko Nahin Subha Ki Talab
Tum Noor Ban k DiL Main Samaaey Ho Aaj kal
Tum Khaak Ho To Kaak Nasheenon Ki Ho Talash
Tum Dard Ho To Rooh Pay Chhaey Ho Aaj Kal
Tum Dasht Ho To Main Bhi Musafir Hoon Dasht ka
Tum Chaand Ho To Talkh Andheron Ki Fiker Kaya
Tum Bay Neyaz Ho To Zamanay Say Ho Alag
Tum Rang Ho To Phir yeh Baharon ka Zikr Kaya
Tum Bay Samar Ruton Main, Baharon Ki Ho Umeed
Tum RahGuzar-e-Shauq Main Jazba Junoon Ka Ho
Tum Arzoo Ho, Ehl -e- Tamanna Ki Ho Khalish
Tum Rut-Jagon Ki BheeR Main Lamha Sakoon Ka Ho
Tum Bewafa Ruton Main Hawala Ho IshQ Ka
Tum Baybasi Ho Phir Bhi Muheet-e-Hawaas Ho
Tum Ik Kiran Ho Noor-e-Azal Main Dhali Hui
Tum Taazgi Ho, Shabnami Phoolon Ki Aass Ho
Tum Gehrey Paniyon Main Chupay Motiyon ka Lams
Tum Maut K Safar Main Nishan -e- Hayat Ho
Tum Meri Chashm-e-Num K Sitaron Ki Keh'kashaan
Tum Husn-e-Bay'Missal, Meri Kaainaat Ho
Tum Jab Say Ho Gaey Ho Meri Dastras Say Dour
Main Jee rahi Hoon Kyun Keh Zaroori Hay Zindagi
Saanson K Bojh Ko Bhi uThaya hay Rooh Nay
Lekin Terey Bagheir......
Adhoori hay Zindagi
muhabat ka taqaza hai Dar guzar karna
Jo ho sakay to bhula dena Ranjishain dil ki,
Keh muhabat ka taqaza hai Dar guzar karna
Teray tarz-e-taghaful sey kaya gilla,
Hamain hi nahi aata dilon Main ghar karna...
chali hai khud say ajab aik chaal mein nay bhi
chali hai khud say ajab aik chaal mein nay bhi
diya hai hijr ko rang e wisaal mein nay bhi
mein us kay dil men raha aur usay khabar na hui
muhabbaton men kiya hai yeh kamaal mein nay bhi
udhar woh roya hai furqat men meri,aur idhar
guzaara hai yaad men uski,yeh saal men nay bhi
zamana saaz thay dono keh rasm e duniya ka
khayal us nay bhi rakha,khayal mein nay bhi
urooj us nay bhi dekha,zawaal mein nay bhi
Tuesday, 20 December 2011
dil say magar chahta hoon yeh
گو چل پڑا ھوں, دل سےمگرچاھتا ھوں یہ
وہ اٹھ کے مجھ کو روک لے اور راستہ نہ دے
go chall parraa hoon,dil say magar chahta hoon yeh
woh uth kay mujh ko rok lay aur raasta na dey
Yaad Uss Shehar Na Ja!
Yaad Uss Shehar Na Ja!
Kon Jaaney keh Kahan Ghaat Lagi Ho Dukh Ki
Kon Jaaney Kisi Choraahey,Kisi Morr
Kisi Ghar Mein Chupi Baithii Ho Ranjish Koi
Yaad,Uss Shehar Mein Gajron Sey Sajay Haathon Sey
Dil Dukhta Hay
Yaad,Uss Shehar Mein
Aankhon k Papotoon Pey Jamey Boson Sey
Dam Ghut'ta Hay
Yaad,Uss Shehar Mein Gardan Ka Koi Til
Agar Aansoo Mein Utar Aaya?
Yaad Uss Shehar Na Ja!
Jis Mein Tamannaon Ki Dehleezon Par
Baarishen Aaney Sey Pehlay Hi Judaii Aa Jaye
Yaad Uss Shehar Mein Ab Gham k Siwa Kuch bhi Nahi
Koi Naraz Jo Hua bhi To Bhala Kaya Hoga
Tujh Ko Maloom Hay
Narazgiyan Dard Barhatii Hain
Na Koi Bolay Ga Na Tujh Ko Manaye Ga Koi
Khushk Aankhon k Kisi Tirchay Kinarey Pey Parrey
Dard Bharey Shikwey Ki Chingaari Sey
Dair Tak Tujh Ko Jalaye Ga Koi
Dair Tak Tujh Ko Rulaye Ga Koi
Dair Tak Tujh Ko Sataye Ga Koi
Yaad,Uss Shehar Na Ja!
Yaad Uss Shehar Ki Ujrrii Hui Galiyon Sey Dar Lagta Hay
Kon Jaaney keh Kahan Ghaat Lagi Ho Dukh Ki...!!!
Kon Jaaney keh Kahan Ghaat Lagi Ho Dukh Ki
Kon Jaaney Kisi Choraahey,Kisi Morr
Kisi Ghar Mein Chupi Baithii Ho Ranjish Koi
Yaad,Uss Shehar Mein Gajron Sey Sajay Haathon Sey
Dil Dukhta Hay
Yaad,Uss Shehar Mein
Aankhon k Papotoon Pey Jamey Boson Sey
Dam Ghut'ta Hay
Yaad,Uss Shehar Mein Gardan Ka Koi Til
Agar Aansoo Mein Utar Aaya?
Yaad Uss Shehar Na Ja!
Jis Mein Tamannaon Ki Dehleezon Par
Baarishen Aaney Sey Pehlay Hi Judaii Aa Jaye
Yaad Uss Shehar Mein Ab Gham k Siwa Kuch bhi Nahi
Koi Naraz Jo Hua bhi To Bhala Kaya Hoga
Tujh Ko Maloom Hay
Narazgiyan Dard Barhatii Hain
Na Koi Bolay Ga Na Tujh Ko Manaye Ga Koi
Khushk Aankhon k Kisi Tirchay Kinarey Pey Parrey
Dard Bharey Shikwey Ki Chingaari Sey
Dair Tak Tujh Ko Jalaye Ga Koi
Dair Tak Tujh Ko Rulaye Ga Koi
Dair Tak Tujh Ko Sataye Ga Koi
Yaad,Uss Shehar Na Ja!
Yaad Uss Shehar Ki Ujrrii Hui Galiyon Sey Dar Lagta Hay
Kon Jaaney keh Kahan Ghaat Lagi Ho Dukh Ki...!!!
Mera khawab tha keh khayal tha
Kabhi is nagr tujhey dekhna
Kabhi us nagr tujhey dhuundna
Kabhi raat bhar tujhey sochna
Kabhi raat bhar tujhey dhuundna
Mera khawab tha keh khayal tha
Wo aruuj tha keh zawaal tha
Teri yaad aayi to ro diya
Jo tu mil gaya tujhey kho diya
Mery silsiley bhi ajeeb hain
Tujhey chor ker tujhey dhuundna....
TALAASH
sar-e-mehfil...!
Kahin jo mil jaaey,
us sey kehna,
keh tera mutlashi,
aaj b rah--guzar par baitha hai..
Aur wahan say guzarney walon ko
tera huliya bata kar kehta hai..
"tum ney iss ko kahin dekha hai...!?
Main ney uss ko yahin khoya tha.....
Aankhon Men Baaqi Reh Gaye, Ab Teray Khad-o-Khaal Sey
Aankhon Men Baaqi Reh Gaye, Ab Teray Khad-o-Khaal Sey
Lab Pey Hain Kuch Sawal Sey,Dil Men Hain Kuch Malaal Sey
Tu Jo Gaya To Youn Laga, Tanha Hoon Kainaat Main
Raatain Thaki Thaki Meri, Din Bhi Meray Nidhaal Sey
Itney Qareeb Hoon Teray, Rasta Na Wehem Ko Milay
So'uun Teray Hisaar Main, Jagoon Teray Jamal Sey
Mujh Ko Hain Kaam Aur Bhi, Kuch To Karo Mera Khayal
Aatay Ho Jab Khayal Main, Jatay Nahi Khayal Sey
Tujh Si Hasee'n Ghazal Koi, Mujh Sa Ghazal Sara Koi
Duniya Main Ho Ager Kaheen, Waazeh Karo Misaal Sey
Uss Se Gila Ay Dosto, Itna Sa Hai Keh Wo Mujhey
Samjha Nahi Hai Aaj Tak, Ghaafil Hai Meray Haal Sey
Monday, 19 December 2011
Tumhari yaad ko dil sey Bhala kesay bhulaaun gi!
Meri jaan sochti hun main
Agar tum mil na paaye to
Tumhari yaad ko dil sey
Bhala kesay bhulaaun gi!
Jo mousam sang teray beetey
unhen kesay bhulaaun gi!
Andheri raat main jugnu
bhala kesay jalaaun gi!
Meri jaan sochti hun main
Tumhen kesay bhulaaun gi!
Likha jo naam hai dil par
Usay kesay mitaaun gi!
Jo aadhi umar jeeni hai
Wo main kesay bitaaon gi!
Subscribe to:
Posts (Atom)
!-end>!-currency>