Tuesday 6 December 2011

Dastak kisi ki hai keh guman, dekhnay to dey




Dastak kisi ki hai keh guman, dekhnay to dey
Darwaza ham ko taiz hawa kholnay to dey

Soda ha umr bhar ka koi khail to nahi
Aay chashm e yaar mujh ko zara sochnay to dey

Us harf "kun" ki aik amanat hai meray paas
Lakin yeh kaainaat mujhay bolnay to dey

Apney lahuu ki taal pey khawahish k moar ko
Ay dasht e ahteyaat kabhi nachnay to dey

Shayad kisi lakeer men likha ho mera naam
Ay dost apna hath mujhay dekhnay to dey

kesay kisi ki yaad ka chehra banaau'n mein
Amjad woh koi naqsh kabi bhoolnay to dey

2 comments:

Anonymous said...

hmmm.... nice choice dear..KEEP IT UP..

Asad Raza said...

Thanks Anonymous.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets