Lambay safar ki oat mein pal bar nahin ruka
Mein waqt k faraib mein aa kar nahin ruka
Phir aa gaya aik naya saal dosto...
Is bar bi kisi say december nahin ruka
Lay kar kisi nay haath mein kashkol-e-waqt
Aisa safar kiya keh kahin per nahin ruka
Manzar kay aks mein koi chera chatakh gaya
Sheeshay kay pas aa kay jo pathar nahin ruka
Chalta raha adoo ki safain rondta huwa
Lakhon ka khoon-e-jigar kar k bhi lashkar nahin ruka
Bas yeh huwa keh Aakhri lamha bhi aa gaya
Dil ka tawaaf e koocha-e-dilbar nahin ruka
No comments:
Post a Comment