awal awal ki dosti hai abhi
aik ghazal hai keh ho rahi hai abhi
main bhi shehr-e-wafa mai nowarid
woh bhi ruk ruk k chal rahi hai abhi
main bhi aisa kahan ka zod-o-shanas
woh bhi lagta hai sochti hai abhi
dil ki waaruftagi hai apni jagah
phir bhi kuch ehtiyat si hai abhi
gar chey pehla sa ijtinab nahi
phir bhi kam kam supurdigi hai abhi
kaisa mausam hai kuch nahi khilta
boonda baandi bhi dhoop bhi hai abhi
khud kalami main kab yeh nasha tha
jis tarha roobaru koi hai abhi
qurbaten laakh khuubsoorat hon
dooriyon mai bhi dilkashi hai abhi
fasl-e-gul mai bahar pehla gulab
kis ki zulfon main tankti hai abhi
raat kis mahwish ki chahat mai
shabistaan saja rahi hai abhi
main kisi wadi e khayal mai tha
baraf si dil pey gir rahi hai abhi
main to samjha tha bhar chukey sab zakhm
daagh shayad koi koi hai abhi
duur daison sey kaaley koson sey
koi awaz aa rahi hai abhi
zindagi kue na muradi hai
kis ko murr murr ke dekhti hai abhi
is qadar khich gai hai jaan ki kamaan
aisa lagta hai toot'ti hai abhi
aisa lagat hai khilwat-e-jaan mai
woh jo ik shakhs tha wohi hai abhi
muddaten ho gaeen Faraz magar....?
woh jo deewangi si thi hai abhi
No comments:
Post a Comment