haseen lagta tha hum ney jin dinon men usko dekha tha
basanti mosamon , bheegi ruton men usko dekha tha
usi k akas ney aankhain khumaar e khuvaab sey bhar deen
chamaktey chaand jesey aaiinon men usko dekha tha
jisey ab rait k kachey gharondon sey mohabbat hai
sumander k sunehrey paniyon men usko dekha tha
jo tanhai ki chaadar oarh kar sota hai rasston men
kabhi is shehar ki sab mehfilon men usko dekha tha
bagolon ko pehan kar ab jo sehra men bhatakta hai
gulab o yasmaan k junglon men usko dekha tha
jo apney qarya e dil ki udasi sey behalta hai
ghataaon men ghirri gum bastiyon men usko dekha tha
zaroorat hai jisey ab dhoop ka ujla kafan Mohsin
badan par baraf oarhey parbaton men usko dekha tha
No comments:
Post a Comment