yeh aankh bhi yeh khawab bhi yeh raat bhi usiki
har baat pey yaad aati hai har baat usiki
jugnu sey chamaktay hain usi yaad k dam sey
aankhon men liey phirtay hain soghaat usiki
har sholay k peechay hai usi aag ki soorat
har baat k parday men hekayaat usiki
lafzon men sajatay hain usi husn ki khusboo
aankhon men chupatay hain shikayaat usiki
kaya kijiey achi hamen lagti hai hamesha
dewaangi e dil men har baat usiki
jis shakhs ney manzar ko naey phool diye thay
hain dour e khizan par bhi anayaat usiki
aata hai nazar majma e ehbaab men Aadil
lakhon men akaili hai magar zaat usiki
No comments:
Post a Comment