Aey Gardish-e-dauraaN, Umr-e-rawaaN
kuch pal k liye sastaaney dey
yeh naatey, reet,yeh rasm-o-rawaah
in sab sey aankh churaaney dey
ye jabr-e-musalsal rishtoN k
ye bandhan aansoo aahoN k
ab zanjeereiN si lagti heiN
in zanjeeroN sey pal do pal
thoRi si mujhey azaadi dey
aey Umr-e-rawaaN kuch Thehr zaraa
aey dil ki khalish kuch chain tou ley
iss dasht-e-alam meN deeda-e-num
kuch khawaab sey dekha karti heiN
khush-fehmi k behlaawoN sey
kuch harf e tassali deti heiN
iss tanj-o-alam ney toRRa hey
kuch aur ghamoN meN chhoRa hey
yeh rishtoN ki zanjeereiN ab tou
saath Sada ki saathi heiN
yeh toR bhi kaesey saktey heiN
aey Umr-e-rawaaN kuch pal ke liye
asooda nagar meN jaaney dey
uss shokh nazar sey poochh tou leiN
iss raah pey kyuN yeh paagal dil
anjaani lay pey dhaRka hey?
iss moR pey kyuN yeh daaman e dil
phir kis k aagey phaila hey?
yeh nazreiN unki raahoN meN
kyuN sajdah-raizii karti heiN?
yeh bharm-o-anaa ki deewaareiN
iss karb-o-junooN sey haari heiN
aey gardish-e- dauraaN tuu hi bataa
iss Simt pey chal kar kaya hogaa?
iss dard ka darmaaN kaya hogaa?
iss roG ka marham kaya hogaa?
iss dard ka haasil Hijr hey kaya?
iss raah ka haasil hijr hey kaya?
aey Umr-e-rawaaN kuch tu hi bataa
No comments:
Post a Comment