Jo chal sako to koi aisi chaal chal jana
Mujhey gumaan bhi na ho aur tum badal jana
Mujhey gumaan bhi na ho aur tum badal jana
Yeh sholagi ho badan ki to kaya kiya jaaye
So laazmi tha terey pairhan ka jal jaana
So laazmi tha terey pairhan ka jal jaana
Tumhi karo koi darmaan, yeh waqt aa pohancha
Keh ab to chaara garon ko bhi haath mal jana
Keh ab to chaara garon ko bhi haath mal jana
Abhi abhi to judaai ki shaam aayi thi
Humain ajeeb laga zindagi ka dhal jana
Humain ajeeb laga zindagi ka dhal jana
Saji sajaai hui maut zindagi to nahi
Mu’arrakhon ney maqaabir ko bhi mehal jana
Mu’arrakhon ney maqaabir ko bhi mehal jana
Yeh kaya keh tu b usi saa’at e zawaal men hai
keh jis tarah hai sabhi soorajon ko dhal jana
keh jis tarah hai sabhi soorajon ko dhal jana
Har ek ishq k baad aur us k ishq k baad
Faraz itna bhi aasaan na tha sambhal jana
Faraz itna bhi aasaan na tha sambhal jana
جو چل سکو تو کوئی ایسی چال چل جانا
مجھے گماں بھی نہ ہو اور تم بدل جانا
یہ شعلگی ہو بدن کی تو کیا کیا جائے
سو لازمی تھا ترے پیرہن کا جل جانا
تمہیں کرو کوئی درماں ، یہ وقت آ پہنچا
کہ اب تو چارہ گروں کو بھی ہاتھ مل جانا
ابھی ابھی تو جدائی کی شام آئی تھی
ہمیں عجیب لگا زندگی کا ڈھل جانا
سجی سجائی ہوئی موت زندگی تو نہیں
مؤرخوں نے مقابر کو بھی محل جانا
یہ کیا کہ تو بھی اسی ساعتِ زوال میں ہے
کہ جس طرح ہے سبھی سورجوں کو ڈھل جانا
ہر ایک عشق کے بعد اور اس کے عشق کے بعد
فراز اتنا بھی آساں نہ تھا سنبھل جانا
No comments:
Post a Comment