Mujhey mehsoos hota hai keh
Lutf-e-Zindgi kam hai
Ghum-e-Dil had sey barrh kar hai Muyassar ab khushi kam hai
Musalsal Dil ki Be-Cheni ko kaya kehtay hain dil waalo?
Tumhein maloom ho shayad, mujhey to aa'gahi kam hai
Ab is k baad jism-o-jan ko bhi jalaanay sey kaya haasil?
Chiraghon men lahoo jalta hai, phir bhi roshni kam hai
Chalo kuch to usay meri wafaaon ka yaqeen aaya
Nhi hai multafit pehlay sa,phir bhi bayrukhi kam hai
Yeh andaaz e taghaful zaib deta hai usay bayshak
Shanaasa ho na ho lekin jo mujh say ajnabi kam hai
Jisey bhi dost samjha
dushman-e-imaan o jaan wohi thehra
Nahi hai dosti jis sey, ussi sey dushmani kam hai...!
Yaqeen aaey na aaey aap ki marzi, magar nasir
yeh roodaad e alam sachi hai, is men shayari kam hai
No comments:
Post a Comment