Tumhari aankhain kehti hain hisaar-e-zaat say niklo
Tamanna meri ban jao, shab-e-barbaad say niklo
Kinara thaam lo dil ka bhula do her gila shikwa
Kabhi sachi hansi hans do purani yaad say niklo
Khayal-e-yaar acha hai magar jis nay wafa na ki
Palat ker phir sada na do, dar-e-faryad say niklo
Nahin koi muhabbat bhi, hijr rut bhi, raqabat bhi
To yeh dharka sa kaya, kahiye, wehem ki ghaat say niklo
Sukhanwer hum say kehta hai saja lo aankh men kuch khawab
Dharakna dil ko sikhla do, amaawas raat say niklo
Nahin tum ko gawara ab hamara qurb to keh do
Hamaray karb ki chhorro, tum is gardaab say niklo
Sar-e-maqtal jo jatay ho, na ho darmaandgi kuch bhi
Zamana daikh tham jaye, kuch is andaaz say niklo
No comments:
Post a Comment