badan men aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai
keh zahar-e-Gam kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hai
kahaaN vo qurb keh ab to yeh haal hai jaisey
terey firaaq kaa aalam bhii Khvaab jaisaa hai
magar kabhii ko_ii dekhey ko_ii parrhey to sahii
dil aa_iinaa hai to cheharaa kitaab jaisaa hai
vo saamaney hai magar tishnagii nahiin jaatii
yeh kayaa sitam hai khe daryaa saraab jaisaa hai
'Faraz' sang-e-malaamat se zaKhm zaKhm sahii
hame.n aziiz hai Khaanaa_Kharaab jaisaa hai
No comments:
Post a Comment