Mujhey Apnay Zabt Pey Naaz Tha, Sar-e-Bazam Raat Yeh Kaya Hua
Meri Aankh Kaisey Chhalak Parri, Mujhey Ranj Hai Yeh Bura Hua
Meri Zindagi K Chiragh Ka, Yeh Mizaj Koi Naya Nahi
Kabhi Roshni Kabhi Tareeqi, Na Jala Hua Na Bujha Hua
Mujhe Aap Kyun Na Samjh Sakey, Yeh Apnay Dil Sey Hi Pochhiye
Meri Daastaan-E-Hayat Ka, Hai Warq Warq Khula Hua
Abhi Abhi Merey Pass Sey, Jo Nazar Bacha Key Ghoor Gaye
Yeh Meray Shaher K Log Hain, Merey Ghar Sey Ghar Mila Hua
Mujhey Jo Bhi Dushman-E-Jan Mila,Wohi Pukhta Kaar-E-Jafa Mila
Na Kisi Ki Chot Ghalat Parri, Na Kisi Ka Waar Khata Hua
Mujhey Ham Safar Bhi Mila Koi, Tau Meri Tarha Hi Luta Hua
Kabhi Manziloon Sey Hata Hua, Kabhi Qafilon Sey Luta Hua
Mujhey Ik Gali Men Parra Hua, Kisi Bad Naseeb Ka Khat Mila
Kaheen Khoon-E-Dil Sey Likha Hua, Kaheen Ansuon Sey Mita Hua
Hamein To Yeh Bhi Haq Nahi, Keh Shareeq Bazam e Khaloos Hon
Na Chehrey Pey Apney Naqaab Hai, Na Kuch Aasteen Men Chhupa Hua
No comments:
Post a Comment