Monday 27 February 2012

Kabhi main zabt men itna kamaal rakhta tha



Labon pay harf na hi koi sawaal rakhta tha 
Kabhi main zabt men itna kamaal rakhta tha 

Khaber kahan thi mujhay woh bhool jaaye ga 
Aik aik cheez jo meri sanbhaal rakhta tha 

Bichartay waqt bazahir to kuch na bola tha 
Mager nigah men so so sawal rakhta tha 

Woh muskura kay bohat dair chup sa raha 
Hansi ki aarr men jaisey malaal rakhta tha 

Suna hai ab log usay bohat satatay hain 
Jis aik shakhs ka main bohat khayal rakhta tha

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets