Monday 27 February 2012

Ya Rab!merey sakoot ko naghma-saraai dey



Ya Rab!merey sakoot ko naghma-saraai dey
Zakhm-e-hunar ko hosla-e-lab-kushaai dey

Lehjey ko ju-e-aab ki wo nae-navaai dey
Dunia ko harf harf ka behna sunaai dey

Rag rag men uss ka lams utarta dikhaai dey
Jo kaifiyat bhi jism ko dey intahaai dey

Shehr-e-sukhan sey rooh ko wo aashnaai dey
aankhein bhi band rakhoon to rasta sujHaai dey

Takhayyul maahtaab ho,izhaar aa'ina
Aankhon ko lafz lafz ka chehra dikhaai dey

Dil ko lahu karooN to koi naqsh ban sakey
Tu mujh ko karb-e-zaat ki sachi kamaai dey

Dukh k safar men manzil-e-na-yaaft kuch na ho
Zakhm-e-jigar sey zakhm-e-hunar tak rasaai dey

Main ishq-e-kaa'inaat men zanjeer ho sakooN
Mujh ko hisaar-e-zaat k shar sey rehaai dey

PehroN ki tishnagi pey bhi saabit-qadam rahooN
Dasht-e-balaa men,rooh mujhey karbalaai dey

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets