Duniya ko to haalaat sey ummeed baRRi thi
Par chaahney waaloN ko judaai ki paRRi thi
Kis jaan-e-gulistaaN sey yeh milney ki gHaRi thi
Khushbu men nahaai hui ik shaam kHaRRi thi
Main uss sey mili thi keh khud apney sey mili thi
Wo jaisey meri zaat ki gum-gashta kaRRi thi
YooN dekhna uss ko keh koi aur na deikhey
In'aam to acha tha magar shart kaRRi thi
Kam-maaya to ham thay magar ehsaas nahiN tha
Aamad teri iss ghar k muqaddar sey baRRi thi
Main Dhaal liye simt-e-adu dekh rahi thi
PalTi to meri pusht pey talvaar gaRRi thi
No comments:
Post a Comment