wo aaftaab sift mahtaab jesa tha
wo meri shaakh pey gulaab jesa tha
samjh saki na thi jab tak mein soz-e-ulfat ko
tera khayal bhi mujhay azaab jesa tha
gunah kehti hai gar ishq ko kahay duniya
wo ek gunah bhi mujhko sawaab jesa tha
kaha tha tum nay sunaao firaaq ki baatein
tera sawaal bhi goya jawaab jesa tha
mein jeet kar bhi kaee baar haar maan gaee
ye sara arsa-e-ulfat to khawab jesa tha
mein kar saki na hul jisey nisaab-e-hasti men
wo ek sawaal tha lekin hisaab jesa tha
khuli kitab thi mein wo mujhay parrh na saka
mera wajood to uskay nisaab jesa tha...:
No comments:
Post a Comment