Teri khushbu ka pata karti hai
mujh pey ehsaan hawa karti hai
choom kar phool ko aahista sey
mojza baad-e-saba karti hai
shab ki tanhaai men ab to aksar
guftagu tujh sey raha karti hai
dil ko uss raah pey chalna hi nahin
jo mujhey tujh sey juda karti hai
zindagi meri thi lekin ab to
terey kehney men raha karti hai
uss ney dekha hi nahin varna yeh aankh
dil ka ehwaal kaha karti hai
beniyaaz-e-kaf-e-dariya angusht
rait par naam likha karti hai
dekh to aakar chehra mera
ek nazar bhi teri kaya karti hai
shaam parrtey hi kisi shakhs ki yaad
koocha-e-jaan men sadaa karti hai
mujh sey bhi us ka hai waisa hi sulook
haal jo teraa ana karti hai
dukh hua karta hai kuch aur bayaan
baat kuch aur hua karti hai
abr barsey to inaayat uss ki
shaakh to sirf dua karti hai
masla jab bhi utha chiraagon ka
faisla sirf hawa karti hai.
No comments:
Post a Comment