Tuesday, 14 February 2012

Us ki ana shikast khurda, Aur meri zid reza reza



Kuch kehna tha, usay bhi aur mujhey bhi
Us ney yeh chaaha mien kuch kahoon,meri yeh zid keh baat wo karey.


Yehi sochtay sochtay zamaaney beet gaye,

Na us ki ana tooti, Aur na meri zid

Us ki ana faseel thi, toh meri bhi chattaan,



Ana aur zid k issi tazad men,

Safer-E-Zindgi youn hi rawaan raha.

Waqt kat'ta raha, dard barhta raha,

Aur safar ikhte'taam ko pohancha

Ikhte'taam e safer yeh raha.


“Meri aankhon men halki si nami ,

Aur shayed us ki zindgi men thorri si kami.

Us ki ana shikast khurda,

Aur meri zid reza reza


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets